Ansi | UTF-8 | Devanagari |
śrī rāṃmajī
śrī mahārājādhirāja salāmata
hakīkati tamāma āgīlī arajadāsati karāra mī. caita sudi kī bhejī hai tī sauṃ araja pahuṃcī hoyagī jī |
śrī mahārājājī salāmati - pahailī tau pātasāhajī ke lahaura calane kī bahauta tākidi (sic!) thī jo vākā kī pharada sauṃ araja pahuṃcī jo samasa ṣāṃ vā kutaba ṣāṃ kāṃma āai | pheri araja pahuṃcī jo aika larai hai aika kāṃma āyā taba pātasāhajāde raphī sāṃ bahādara koṃ phuramāyā jo tuṃma hukama pātasāhajāde jahāṃdāra sāha kauṃ pahuṃcāvo jo tuma lāhaura kī tayārī karau hama tuma koṃ gurū ke siṣyauṃ kī tambīha ke vāsatai bhejai hai | so radabadala da-myāṃna (sic!) hai jo ṭhāharaigī | so araja pahuṃcāuṃgā jī |
śrī mahārājādhirāja salāmati - bhuvapati prakāsa rājā nāhani kā jo mahābati ṣāṃjī ke kaidi thā tisa ke vāstaiṃ celāṃ pātasāhajī kī trapha sauṃ hukama pahuṃcāyā jo isa ke tāṃī gurū vā kā piṃjarā ṣāradāra hai tisa mai ḍārau taba mahābata ṣāṃjī darabāra jāya pātasāhajī sauṃ araja karī jo vaha be-takasīra hai va usa ke mulaka mai sauṃ gurū bāhira nikasi gayā taba pātasāhajī phuramāyā jo usa koṃ sajāya na karauge tau saba jimīdāra soṣa hoya jāṃyage | isai ṣāha na ṣāha sajāya karau taba pheri mahābata ṣāṃjī araja karī jo usa piṃjare mau kāṃṭe bahauta saṣata haiṃ | ḍārate hīṃ aika ghaṛī mau maraigā | taba pātasāhajī phuramāyā mari jāyagā tau (-----) taba mahābati ṣāṃ pheri araja na karī pātasāhajī (-) bāra sauṃ uṭhe | taba mahābata ṣāṃ pheri araja karī | taba pātasāhajī phuramāyā jo piṃjarā ke kāṃṭe moṛi dyauha ara hukama pātasāhauṃ kā rāṣau usa kauṃ pīṃjarā mai ḍālau | taba celā āya kāṃṭe moṛi pīṃjarā mau ḍāli gayā | so aba taka tau jīvai hai | jo hakīkati hoyagī so araja pahuṃcāuṃgā jī |
śrī mahārājādhirāja salāmati - pātasāhajī kī yā ṣabari hai jo koi tau kahai hai jo jahāṃnābāda koṃ calaigeṃ | koi kahai hai jamuṃnājī ke kināre koi dina rahaiṃge | so ṭhīka paṛe araja pahuṃcāuṃgā jī | aura ṣata hadāyatulā ṣāṃjī kauṃ bhejā thā so āya pahuṃcā hai | so māraphati pacaulī jagajīvanaṃ dāsa kī pahuṃcāyā hai so juvāba pāchā the bhejauṃgā jī | aura ṣata navāba mahābati ṣāṃjī kā sujāyata ṣājī koṃ liṣāya bhejā hai so nakala sauṃ saba hakīkati araja pahuṃcaigī jī | aura ṣata mahārājā ajīta syaṃghajī kā bhejā thā so pahuṃcā so radabadala āya paryāṃ navāba mahābata ṣāṃjī koṃ māluma karauṃgā jī |
śrī mahārājādhi salāmati - pragane meṛatā kā ijārā kā rupayā syālu kā bākī the ara celāṃ kī tanaṣāha mau va praganā thā taba navāba mahābata ṣāṃjī koṃ celā jāya dabāyā | taba kahai ba-ti-su-(--)-ti bahauta hui taba navāba mahābata ṣāṃjī bhaṃḍārī koṃ kahyā jo celā paresāṃna hau turata rupayā hajāra pāṃca tau āja dyauha jo una kī dilāsā hoya | taba bhaṃḍārī rupayā hajāra pāṃca vaihī ghaṛī celā ke havāle kīyā au (sic!) ju bhī celā rahatā rupayā vāsataiṃ talaba kari rahyau hai jo ṭhāharailī so pāchā the araja liṣauṃgā jī |
ara baṃde so bhī āya celauṃ tagādā kīyā jo devatī sāṃcārī bhī hamārī tanaṣāha mau hai | so tuma bhī rupayāṃ kī nisāṃ karau taba mai una koṃ juvāba dīyā jo devatī sāṃcarī navāba mahābata ṣāṃjī bulākī caṃda amīna bhejā hai | mai vāphika nahī jo navāba ke kyā āyā kyā bākī hai | taba celauṃ nai navāba jāya dabāyā taba navāba nai rupayā teīsa hajāra celā nai dīyā | so ṣātra mamāraka mau āvai tau jo phasāle syālu mau praganā bahātra kā rupayā bulākī caṃda nai dīyā haiṃ | so baṃde kau liṣī bhejījyau jī |
mīti cauta (sic!) sudī 9 saṃvata 1768 saṃnīsaravāra |||||